- Get link
- X
- Other Apps
Featured post
- Get link
- X
- Other Apps
Khird-mandon Se Kia Puchhon Ki Meri Ibtida Kia Hai
Ki Main Is Fikr Mein Rahta Hon Meri Intiha Kia Hai
خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہے
کہ میں اس فکر میں رہتا ہوں میری انتہا کیا ہے
Khudi Ko Kar Buland Itna Ki Har Taqdir Se Pahle
Khuda Bande Se Khud Puchhe Bata Teri Raza Kia Hai
خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے
خدا بندے سے خود پوچھے بتا تیری رضا کیا ہے
Maqam-e-guftugu Kia Hai Agar Main Kimiya-gar Hon
Yahi Soz-e-nafas Hai Aur Meri Kimiya Kia Hai
مقام گفتگو کیا ہے اگر میں کیمیا گر ہوں
یہی سوز نفس ہے اور میری کیمیا کیا ہے
Nazar Aain Mujhe Taqdir Ki Gahraiyan Is Mein
Na Poch Ay Ham-nashin Mujh Se Wo Chashm-e-surma-sa Kia Hai
نظر آئیں مجھے تقدیر کی گہرائیاں اس میں
نہ پوچھ اے ہم نشیں مجھ سے وہ چشم سرمہ سا کیا ہے
Agar Hota Wo Majzub-e-farangi Is Zamane Mein
To 'iqbaal' Us Ko Samjhata Maqam-e-kibriya Kia Hai
اگر ہوتا وہ مجذوب فرنگی اس زمانے میں
تو اقبالؔ اس کو سمجھاتا مقام کبریا کیا ہے
Nawa-e-subh-gahi Ne Jigar Khon Kar Diya Mera
Khudaya Jis Khata Ki Ye Saza Hai Wo Khata Kia Hai
نوائے صبح گاہی نے جگر خوں کر دیا میرا
خدایا جس خطا کی یہ سزا ہے وہ خطا کیا ہے
hami urdu poetry
iqbal ki poetry
jawab e shikwa in urdu with translation
sitaron se aage jahan aur bhi hain mazmoon in urdu
urdu essay on khudi
urdu poetry
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment